Bharat ek prachin sabhyata aur Sanatan sanskriti ki bhoomi hai, jahan hazaaron varshon se Hindu dharm ka varchasv raha hai. Yeh wahi pavitra bhoomi hai, jahan vedon ki richayein gunji, jahan Shri Ram aur Shri Krishna ne avatar liya, jahan maharish...
Bharat ek prachin sabhyata aur Sanatan sanskriti ki bhoomi hai, jahan hazaaron varshon se Hindu dharm ka varchasv raha hai. Yeh wahi pavitra bhoomi hai, jahan vedon ki richayein gunji, jahan Shri Ram aur Shri Krishna ne avatar liya, jahan maharishiyon ne tapasya ki, aur jahan dharm, sanskriti aur adhyatmikta ki jaden atyant gehri hain. Parantu, samay ke saath anek videshi aakramanon, shadnityon aur aantarik vighatan ke kaaran Hindu samaj ko apar kasht sehne pade.Swatantrata ke baad bhi, Hinduo ko unka nyayochit adhikar nahi mila. 1947 mein vibhajan ke dauran laakhon Hinduo ka narasnhar hua, parantu unka dard aaj bhi anushuna hai. Kashmir mein Hindu panditon ka palayan, dharmantaran ka shadnytr, mandiron par sarkari niyantran, gauhatya, aarakshan neeti ke naam par Hindu samaj ka vibhajan aur rajneetik shadnytron dwara Hinduo ko hashiyen par daalne ki koshish – yeh sab is pustak mein vistaar se prastut kiya jaayega.Parantu yeh keval peeda aur sangharsh ki kahani nahi hai; yeh pustak Hindu jagran, Hindu ekta aur Hindu rashtra ki sthaapna ki sambhavnayein par bhi kendrit hai. Yeh jaana atyant avashyak hai ki Hindu rashtra keval ek dharmik vichar nahi, balki Bharat ke punarutthan ki aadharshila hai. Is pustak mein Hindu rashtra ki sankalpna, uske aitihasik aur darshanik aadhar, tatha uski sthaapna ke liye avashyak rananitiyaan par bhi vichar kiya jaayega.Humein yeh sweekar karna hoga ki yadi Hindu samaj sangathit nahi hua, to aane wale samay mein uski sthiti aur bhi dayaniy ho sakti hai. Is pustak ka uddeshya na keval Hinduo par hue atyacharon ko ujagar karna hai, balki bhavishya mein ek shaktishali, sangathit aur gauravshali Hindu rashtra ki sthaapna ki rooprekha bhi prastut karna hai. Yeh pustak har us vyakti ke liye ek margdarshak siddh hogi, jo Bharat ko punah ‘Vishwaguru’ ke pad par aaseen hote dekhna chahta hai.Ab samay aa gaya hai ki hum apne ateet se seekh kar, vartman mein sangathit hokar, aur bhavishya ki ek sashakt Hindu rashtra ki kalpana ko saakar karein. Is pustak mein is mahayagya ki pehli aahuti dee ja rahi hai.